Street Play (Mard to hote hi kharab hain)
Shubham- Treata yug to khatm ho liya
Bhag gyi sita pit gye ram
Nikhil- Bhole mann ko tyaag de pagle
Dhan se hove sabka kaam
Skand- Jo dikhta wo satya nhi hai
Tu soch raha shehzada hai
Manglam- Ye duniya chausar hai pyaare
Tu to keval pyaada hai
Shubham- Nar nari me bhed nhi hai
Koi na bhola sab chalak
Khushboo- Bahar se duniya jhuthi hai
Sach pana hai, dil me jhaank
Audio 1 (2 times) Shubham starts and we start after one beat……
(Nikhil, Pranav, Ananya and Rishi in under area)
Nikhil-26 july 2015 din ravivar
Khushboo- Isi din times of india ne khabar chhapi, ki suicide karne wale shadishuda mard, aurat ki sankhya me, dogune hote hain
Ananya- 8 farvari 2017 din budhwar
Shubham- BBC ne khabar chhapi, ki dilli me shadi me baad, register hone wale aadhe se zyada case, farzi hote hain
Rishi-2016 shashi tharoor sunanda pushkar maamla
Pranav- 2017 hardik patel ki sex CD
Shubham- Bina kisi baat, bina kisi faisle, bina kisi apradh ke, hamari nazar me apradhi bann gye.
Kyonki hame bataya gya hai, “Mard to, hote hi kharab hain”.
Manglam- Isliye aaj ka ye nukkkad, har us aam aadmi ke liye hai, jo mard ko, mahaz mard hone ke naam par, apradhi manta hai, aur sochta hai, ki mard to, hote hi kharab hain.
Are aa gye aa gye nukkadiye (shubham starts) #baki_chorus
Dekho aa gye aa gye nukkadiye
Are seena thhokke bolenge
Dil ki partein kholenge
Are sach ko gale lagaenge
Nukkadiye kehlaenge
Dekho aa gye aa gye nukkadiye
Manglam- naye log, badi badi imaratein, koi chhota shahar to nhi hai
Bade high fi log hain yaha, ye apna, Kanpur to nhi hai
Nikhil- bidu ye Mumbai hai, Mumbai bole to bindass
Yaha pe cool rehne ka, bole to ekdum jhakkas. Kya……
Rishi- theek se khana bhi nhi khaya, na hi raat ko soya hai
Ghar kaise chalana hai, din bhar yahi sochta hai, jab se isne baap ko khoya hai.
(One beat)
(One beat)
Ananya- sara shahar shivani ka deewana hai
Kaun hai jo usse aaj tak anjana hai
Pranav- lage hai dil ki bholi, bahut bholi, naam hai uska shivani
Kisi ki pyari behen, Kisi ki sabse achhi dost, yu hi nhi hai duniya uski deewani
Ananya- bas dila do usko, jo de use khushiyan apaar
Apne kathor pita se bacha le use, muskan se bhar de uska sara sansaar
(ab yaha par ladka ladki ki takkar hogi aur ladki ladke ki bahon me)
(aur sab log muh se DDLJ wali tune bajaenge)
Khushboo- dheere dheere badalta hai waqt, dono kareeb aate hain
5 min ki chat, chaton me badal jati hai
Ab jab milte hain, to zara sa sharmate hain
Mehak- aaj main bahut naraz hu tumse,
meri call receive karte hi nhi
Din bhar office ka kaam karte ho,
mera khyaal to karte hi nhi
Manglam- kya karu, bahut uljha hua hu aajkal main
Tumse baat karne ka waqt rehta hi nhi
Din beet jata hai office ke kaam me
Haalat ese hain, par boss se kehta bhi nhi
(inko dekhkar, sharma ji ke dost sharma ji ke dost se kehte hain)
Skand- dekh rahe hain sharma ji
Beti ghar ki izzat bazaar me neelaam kar rahi hai
Aap to kehte the, badi sanskari hai
Ye kaun sa sanskari kaam kar rahi hai
(sharma ji aakar ladke ko peetne lagta hai)
Tushar- case karunga tujhpe, meri beti ko phansata hai
Himmat kaise hui iski, meri beti ko dekhe
Char ghar chal, tumse to main ghar me baat karunga.
Also see: Bunked the IIMC final exams but won the heart of the nation. Neelesh Misra journey from Storyteller to the Founder of a rural newspaper Gaon Connection.
Also see: Bunked the IIMC final exams but won the heart of the nation. Neelesh Misra journey from Storyteller to the Founder of a rural newspaper Gaon Connection.
Scene 1 ends
Shubham- Yaha se badhenge do kahaniyon ki taraf, Dekhenge har ek ka kya anjaam hota hai
Kaisi zillat jhelta hai mard duniya mein, Kaise uski izzat uska ghar neelaam hota hai
Scene 2 starts
Mehak- Hello, kaha par ho?
Manglam- Office me hu, tum kaha par ho.
Mehak- main ghar par
maine tumse kaha tha, papa nhi manenge
Hamare beech ke pyaar ko wo nhi janenge
Rishi- phir tum hi batao kya karoon main, Bhaga ke le chalu tumko tumhare tumhare ghar se
Ya tapka du tumhare baap kko beech raste par, Phir byaah kar nikal chalu is bhavar se
Mehak- kyu karte ho papa ko marne peetne ki baatein
Chalo na yaha se kahi bhaag chalte hain
Esi jagah, jaha par teesra koi na ho
Chalo kisi esi jagah ki talaash karte hain
Narration (Khushboo- ghar ke gehne churati hai ladki
Par use to ladka uksata hai na
Bhagne ka plan banti hai ladki
Par use to ladka behkata hai na
Sari galti ladke ki, kyonki mard to hote hi kharab hai)
(inki sari conversation inki mother ananya sun leti hai)
Ananya- aji suniye, is jhanjhat se bachne ka badhiya rasta hai. (fusfusahat...)
Narration (Mehak- beech sadak me baap peet deta hai ladke ko
Skand- par use bhadkane wali maa bilkul theek hai
Rishi- rachti hai shadyantra ek jode ko todne ka
Aniket- par unhe bhadkane wali maa bilkul theek hai
Kyonki mard to hote hi kharab hain
(One beat)
Mehak- kya hua papa, apko itna kisne mara
Tushar- are jisse tum itna pyar karti ho, usne tumhare baap ko mara
Wo uske teen sathi pure chaar log
Yaha mara, waha mara, sabne milkar maara
Kar raha tha mujhko tapka dene ki batein
Tu soch rahi hai teri zindagi ka nayak hai
Par wo hai chalak bahut aur dil ka to bahut nalayak hai
Ananya- suna hai tumse bhi kal koi keh raha tha, tapkane ki baat
Mehak- nhi par…..
Ananya- shivani, jo tumhare papa ko buri tarah peet sakta hai
Ghar ki izzat bhare bazar me ghaseet sakta hai
Pehle to mana karta hai ghar se bhagne ki baat
Aur turant haan kar deta hai jab tum karti ho gehno ki baat
Agar itna hi pyaar karta hai tumse,
To tumhare papa ko bhari public me kyon peeta
Nhi rakha tumhare papa hone ka khyaal
Maar maar kar kar diya bura haal, bura haal
Shivani, tum jo soch rahi ho wo itna achha nhi hai
Paisa sunkar jhat se palat jae to itna sachha nhi hai
Masoom ho tum maa baap ki ye baat samjho
Pehli nazar ka dhoka hai ye, isme mat uljho
Wo tumse paise enthana chahta hai
Usse tumhe koi ikraar nhi hai
Mehak- shayad meri hi galti thi,Maine hi galat insaan se pyaar kiya
jiske saath jeene marne ki kasmein khayi, usne mere papa se esa vyavhaar kiya
Rishi- maa ki banai saazish kaam hai aayi
Ladki ab degi court me gavahi
Aniket- aaj phir hoga court me ek case
Daleelein suni jaengi logon ki gawahi hogi
Qanoon sharminda hoga ek baar phir se
Kyonki anginat jhoothi kahaniyan hamari banai hongi
Nikhil- judge sahab, ye wo audio recording, jisme aaropi vaibhav ladki urf shivani ke pita ko maarne ki dhamki de raha hai
All- bhaga ke le chalu tumko tumko tumhare ghar se
Ya tapka doon tumhare baap ko beech raste par
Lawyer- ab main shivani ko kathghare me bulane ki ijazat chahunga
Judge- ijazat hai
Shivani- judge sahab, mere dil se khela hai usne, aaj usko uski auqaat bata dijiye
Mera sharirik shoshan kiya hai usne, usko kadi se kadi saza dijiye
Rishi- mere client par lagae sare aarop bebuniyad hain. mujhe thoda sa waqt dijiye jisse main apne client ko begunah sabit kar saku.
(Two beats)
Rishi- mere client par lagae sare aarop bebuniyad hain. mujhe thoda sa waqt dijiye jisse main apne client ko begunah sabit kar saku.
(Two beats)
Shubham- batakar ladke ko doshi, court ne tabaah kar dala
Lagaya rape ka aarop aur jeevan barbad kar dala
Manglam- hello sir, apne bulaya
Aniket- tv akhbaar me khabar chhapi hai tumhari ladki se chhedchaad karte ho
Itni bholi surat aur itni gandi harkat, peeth peeche ese kaand karte ho
Ye company ke liye achhi baat nhi hai
Company ki growth ko dhyaan me rakhkar tumhe naukri se nikala jata hai
Manglam- par sir…
Aniket- sorry Vaibhav, you’re fired.
Audio hmm hmm hmm
Manglam- maine jisse ishq kiya, vo itna dushwar mila
Jiski khatir jag chhoda, wo esa gaddar mila
Sara jeevan ho jab marker, esi duniya me rehna kyon
Mehboob jaha par dushman ho, ese logon ko sehna kyon
Are dekho tum sab namardon, mujhko wo kar jana hai
Esi duniya me kya rakha, ab mujhko mar jana hai, ab mujhko mar jana hai, ab mujhko mar jana hai
-Ese logon ko to mar hi jana chahiye
-Pehle to kisi ladki ke saath gandi harkat karte hain
- Aur jab baad me duniya ko muh nhi dikha pate, to suicide kar lete hain
-Are mardon ki to jaat hi esi hai
-Aaj idhar muh marte hain to kal udhar muh marte hain, pakde jate hain to darker suicide kar lete hain
-Mard to hote hi kharab hain
-Mard to hote hi kharab hain
Shubham- suicide kya jab ladke ne, duniya ki nazar me wo doshi
Suicide karegi jab ladki, anjaam na jane kya hoga
To shuru karein ek baar phir se, are bajao re…..
Also see: प्रोफ़ और स्टूडेण्ट के बीच पिस रहे हो, तो CR हो तुम।
Also see: प्रोफ़ और स्टूडेण्ट के बीच पिस रहे हो, तो CR हो तुम।
Mother- kisi ko muh dikhane ke qabil nhi chhoda tune
Father- are hamari parvarish me koi kami reh gyi thi kya
-suna hai, sharma ji ki beti ka kisi ke sath chakkar char raha hai
-hain? Esa hai kya?
- haan, kal sham ko uske boyfriend ko peet kar aye the uske papa aur ab tak beti ghar se bahar nhi nikli hai.
- -Ama suna hai sharma ji peet diye sadak par ek ladke ko
- -Ese thode hi. BF tha uska
- -Hain chakkar chal raha tha sharma ji ki beti ka
- -Aur nhi to kya. Suna hai kisi dusre ladke ke saath ghum rahi thi parso
- -Aaj kal ki ladkiyan bhi na, kali ski bahon me to kal uski bahon me.
- -Are madam, kaha ja rahi ho, vaibhav to pit gya, saurav se bhi to mil ke jao
- -Are madam, kya kami hai hamme, hame bhi to dekho.
Mehak- (slapping) vehshiyat se bhare darindon. Tumhari aukaat nhi ki tumse koi pyaar kare.
- Are hame bhi thappad maar ke jao madam. Gaal hazir hai
Ananya- suno, aur tane suno. Khud suno aur hame bhi sunao. Hamari bhi jaghasai karao.
Shubham- yaad rakhein, ese maukon par maa bhi beti ko kose, usse pyaar na jatae. Kyonki beti to kaand karke aayi hai. Aur mard to hote hi kharab hain
Mehak – hello kese ho vaibhav
Manglam- main theek hu, bas thodi tabiyat kharab hai. Tum kesi hoo
Mehak- main bhi theek
Manglam- awaz se to esa nhi lag raha, baatkya hai batao
Mehak- sab toot gya vaibhav. Sab chhut gya. Abb dil nhi karta kuchh karne ka.
Maine tumse pyar kiya, tumne mujhse pyar kiya.
Baki sara jag jhootha hai. Sari duniya begani hai
Manglam—hello…….
(shivani commits suicide)
Mother- kya hua tumhe shivani…(and crying)
Audio –hmmm hmm hmm
Narater- is lok lubhavan duniya me, eeman ki keemat kuch bhi nhi
Alfazz tavajjo pate hain. Insaan ki keemat kuchh bhi nhi
Reporter- kya kehna hai apko beti ke suicide par
Father- ye suicide nhi, murder hai. Meri beti ke kaan bhar kar usko suicide karne par majboor kiya gya hai.
Mother- us ladke ne jeete ji itna torcher kiya meri beti ko ki usne suicide kar liya.
Reporter- apka kya kehna hai.
- Hamari to chhoti behen thi shivani. Ek vaibhav naam ke ladke ne pehle to jhaansa dekar uska fayda uthaya aur Narrater- jo kal tak sadak par fabkiyan kasta tha. Wo aaj channel par bhai bana baitha hai.
Narrater- Jo maa kal tak tane sunaya karti thi, wo aaj beti ke jane ka gham mana rahi hai.
Jo samaaj aaj tak kanafusi kar hasi uda raha tha, wo aaj twitter par RIP kar raha hai.
Jo media kal tak mandir masjid kar raha tha, use ek aghoshit rapist mil gya hai.
Aur jo kal tak naadaan sa aashiq tha, use bina kisi baat, bina kisi faisle, bina kisi apradh ke fasi par chadhaya ja raha hai.
- Are dhundh ke lao, vaibhav ko
- Fansi chadhwao, vaibhav ko
- Kutton se katao, vaibhav ko
- Kapde fadwao, vaibhav ke
- Ye vaibhav to hatyara hai, isne ladki ko mara hai
Y ye, ye, ye mil gya vaibhav, maro isko…..
Maro maro maro……
- Ese logon ko to patthar se maar maar kar khatm kar dena chahiye
- Ese logon ka to wo ang hi kaat lo, jisse rape karte hain, na rahega baans, na rahegi bansuri
- Ese logon ko to beech sadak pe fansi milni chahiye
- Ese logon ko to kutton se katana chahiye
Narrater- pehle court to tay kar le ki vaibhav doshi hai bhi ya nhi…..
Nazar apki, soch apki, mudda apka hai. Kaise dekhni hai duniya, nazaria apka hai
Ya to jo media kahe, wo maan lijiye. Ya phir purush ke dil me ek baar jhank lijiye
Har mahila bechari nhi hai. Na hi har purush atyachari.
Har premi balatkari nhi hai, na hi har mahila hai lachari
Faisla dene se pehle samasya ko samajhiye. Uske baad duniya ke sawalon se ulajhiye
Aap hi suna denge faisla phir adalat ka kya kaam hai. Aap hi kanoon todenge phir apradhi ka kya kaam hai